Website, Blog,YouTube se online earning karne ke liye Google AdSense and Affiliate Marketing Program bhut ache source ban gye hai. Bhut se log Website/Blog ke jariye internet se paisa kama rahe hai aur bhut se log struggle kar rahe hai in dono me se konsa better hai. Isiliye aaj main is article me Affiliate Marketing or Google Adsense Me Kya Best Hai. ke bare me details ke sath btane jaa raha hu.
हालाँकि,bhut se logo ko internet se paise kamane ki baat fake(Galat) lagti hai lekin bahut se blogger aur youtuber aaj ke time me internet se lakho rupaye kama rahe hai, ye bat alag hai ki sabhi logo ko isme success nahi mil pati hai.
- AdSense and Affiliate Marketing Me Kya Best Hai
- Affiliate Marketing aur Google AdSense Me Kya Antar Hai
- Google AdSense Ke Fayde Aur Nuksan
- Affiliate Marketing Se Fayde Aur Nuksan
- Dono Me Se Kisse Jyada Income Ho Sakti Hai
Google AdSense and Affiliate Marketing Me Kya Acha Hai?Complete Guide in Hindi
Google AdSense – A Quick Overview in Hindi
Google AdSense Use Karne Ke Fayde
- Google adsense pay per click(PPC) par kaam karta hai eska mtlb per click ke hisaab se paise deta hai.
- Appko Kisi bhi product ko sell karne ki jarurat nahi hai, reader/Visiter ke ads par click karne se paisa milega.
- Best selling products or ads par research karne ki jarurat nahi hoti hai, google ye sab khud control kar leta hai.
- Koi bhi google adsense ke liye apply kar sakta hai bs uske paas apni ek website honi chahiye.
- Aap ads ke impression ke against earning kar sakte hai.
- Aapke readers ko mtlb jo aapki website ka user hai unke interest ke hisab se ad dikhaye jayenge.
- Aapko bas apni site par content yaa Blog likhne aur adhik se adhik traffic lane ki jarurat hai.Jitna traffic utni income.
Google AdSense Use Karne Ke Nuksan
- Adsense ke ads se website ki speed slow ho jati hai.
- Aap niche product ad choose nahi kar sakte.
- Aap adsense ads ko optimize nahi kar sakte.
- Google adsense aapko policy violation karne par bhi banned kar sakta hai.
- Aap aisa ad network use nahi kar sakte ho jis ko google allow nahi karta ho.
- Aapko koi email support nahi milta hai.
- policy violation karne par approve milna mushkil.
- Aapko only google par biswas karna hoga,google aapki website ka monetize ad network hoga.
- Adsense ads se aapke audience disturb ho sakte hai aur aapka traffic bhi down ho sakta hai.
Affiliate Marketing – A Quick Overview in Hindi
Affiliate Marketing Use Karne Ke Fayde
- Aap apne niche ke hisab se jo aapko pasand ho wo ad choose kar sakte ho.
- Aapki jitni jyada sell hongi utni hi income hogi, isme sells ki income uper-niche nahi hoti so aap easily sells ke hisab se earning calculate bhi kar sakte ho.
- Income extensive hogi aur ye aapko bahut saalo tk pay krti hai. Aap ise long term money making source bhi kh sakte hai.
- Aapko $5 to $5000 tak ka commission dene wale provider mil jayenge lekin aapko apni audience ke level ka khyal rakhna hoga.
- Tode time me jyada earnging karne ke liye affiliate marketing best way hai.
- Aapki website,blog par kam traffic se bhi jyada income ho sakti hai.
- Income site traffic se nahi user trust par depend karti hai, Jitne log aap par trust karenge utni hi sell milengi.
- Sabse bada fayda koi bhi aapko ban, stop nahi kar sakta. Aap apni marzi se site monetize kar sakte ho.
Affiliate Marketing Use Karne Ke Nuksan
- Affiliate marketing me safalta pane ke liye marketing knowledge aur experience bhi hona chahiye.
- Aapke pas targeted and trusted traffic hona chahiye.
- Aapki Earning Product ke sell hone par hogi, sirf click hone se kuch nahi milega.
- Aap agle din same earning nahi kar sakte,ho sakta hai ki ek din me 1 lakh dollar kama le aur ho sakta hai 1 din me 1 dollar bhi na kama paye.
- Apne reader ke sath trust relation ko banaye rakhne ke liye aapko keval behtar product ko promote karna hoga.
Google AdSense V/s Affiliate Marketing Me Kya Difference Hai
- Google adsense pr aapko ek website ke liye only ek bar account banana padta hai jabki affiliate marketing me har product ke liye alag affiliate program join krna hota hai.
- Google adsense per click pr pay krta hai lekin affiliate program me per sell pr income hoti hai.
- Google adsense se ki earning ko only bank account me receive kr sakte hai lekin affiliate marketing me different methods hoti hai.
- Google adsense se ads se income hoti hai lekin affiliate marketing se product promote karne par.
- Google adsense se low traffic pr income nahi kr sakte jabki affiliate marketing se low traffic me bhi income kar sakte hai.
- Adsense ke liye website/blog pr orgranic traffic aur affiliate marketing ke liye targeting traffic hona chahiye.
- Google adsense ke liye traffic jaruri h or affiliate marketing ke liye user trust jyada important hai.
- Google website ke hr page ke content ke according ads dikhata hai jabki affiliate marketing me manually content ke liye ads lagana hota hai.
Google Adsense or Affiliate marketing Dono me kafi antar hai aur dono ke alag alag fayde aur nuksan bhi hai. Ab aapke liye kya best hai Wo aapko choose karna hoga.